Iss dil ke bhi ajeeb fundae hain
kisi ko muskata dekh muskata hai
na jaan na pechchan, par,
emotion chehre pe jhalak hi jaata hai
newton ne kitni mehnat ki
ye bade bade law likhe
par ye anpadh bawlaata hai
gravity ko samajh hi nahi pata hai
koi khaas jagah banaye, to halka
jo chala jaye to saala heavy ho jaata hai
ye dil bhi na, i tell u, bada ajeebs hai
duniya ko samajh hi nahi pata hai
abhi kal hi ki toh baat hai, bechara dump hua
ghadha aise react kiya jaise body mein bhukamp hua
jab hasta hai tab to gaal dukhne tak hasta hai,
rote waqt chup! kisi ko pata na chale andar kya hota hai
ye dil bhi na, i tell u, bada ajeebs hai
duniya ko samajh hi nahi pata hai
koi khaas jagah banaye, to halka
jo chala jaye to saala heavy ho jaata hai
- Sandeep Raj Sharma
created on 26th Jan 2011 11:30 pm

No comments:
Post a Comment