baawre mann ne dekha ek khwaab
aur khwaab mein dekha woh manzar
jahan sacha ho har dil, har insaan
na jhooti baatien, na baaton ka batangar
khwaab hi toh tha, to dekha woh jahaan
jahan maasoom ho pyaar, sachi ho wafa
na dhoka, na dhokebaaz ho kahin
jahan ho har shaqs, kabil-e-jafa
par khwab hi to tha, kaise na tootta
aakhir dil hi to tha , kaise na tootta
ab aankh khuli hai, to nam hai
ab inn ankhon mein khwab bhi to kam hai
phir bhi ye baawra mann meri baat na maanega
aise hi namumkin khwabon ke peeche bhagega
baawra mann dekhne chala ek sapna
baawra mann dekhne chala ek sapna
-
Sandeep Raj Sharma
Thursday, July 29, 2010
Friday, July 23, 2010
Gum ne mujhe aaina dikha diya

Iss gum ne mujhe aaina dikha diya
varna andhe the hum bhi
kisi bewafa ke pyaar mein
shukr hai waqt rehte naqab hata diya
hass raha tha koi maasoom mohabbat pe
saath nibhane ki aad mein
ae gum tu ne bacha liya
apna paraya bata diya
kiski hasi sachchi
aur kiski jhoota khwab
mujhko bata diya
aur kya hua gar dil ye toota
ye jiska ghar tha use hi gum nahin
to rona kaisa
ae gum, shukriya
tu ne jeena sikha diya
sach jhoot, apna paraya
mujhko bata diya
iss gum ne mujhe aaina dikha diya
- Sandeep Raj Sharma
Subscribe to:
Posts (Atom)
