Sunday, January 2, 2011

2011: Do Hazaar Gyaarah

Phir aankh khuli savere, suraj chadha aasmaan mein,

phir utthe kadam kuch kar dikhane ki chaah mein,

kahin ek pal mann halka jo bechain hua,

padi nazar peeche unn guzri hui raahon pe....


jahan kuch sapne sach hue, kuch khwab toote,

kuch dost mile sachche, kuch bandhan chhoote,

sar jhatakkar, khud pe zara has kar, phir dekha aage

chal pade kadam, phir ek nayi raah banane


mann mere;

jo beet gaya vo bhool ja, na aayega dobaara,

muskuraakar aaj mein jee, aaj hai do hazaar gyaarah :)


- Sandeep Raj Sharma

created on Saturday, 01 January 2011 at 21:33

Waqt

Kuch waqt se ae waqt,tu guzar hai raha

jaane kis mod pe jaakar badlega

kab layega saath chain-o-sukoon

gum aankhon se yun kab tak chhalkega


kya bhool gaya tu woh khel purane

yaaron ke kisse, unse milne ke bahane

woh galiyon mein cricket khelna beparwah

woh cycle ki sair, woh recess ke gaane


jab tu akela tha bada acha lagta tha

saath baithe kya kya khwab sochta tha

chinta, dikhawati pyaar, daulat, duniyadari

jaane inn logon se kaise hui teri yaari


badal gaya tu, tera yeh dhang nahi bhaata

meelon hai tanhai, barson hai sannatta

saans to loon, ae waqt, ho sake to do pal tham ja

yaadien jahan suhani, ho sake to peeche hi laut ja


kuch bhoole hue dost hain, zara unhe pukaar lein

kuch naasamajh faisle hain, ho sake to sudhaar lein

par main jaanta hoon, tu apni hi raftaar se chalega

kisi dagabaaz mod par main gir bhi jaon, tu kahan rukega


aur main jaanta hoon, aakhri saans ka tu hi hai humsafar

to uthkar, tujhe thaam kar, wohi raftaar, wohi rehguzar

ye doston waale tevvar to nahi,

par dushman tujhe kahun kaise


phir duniya bhi to kehti hai, tu anth mein sab theek kar deta hai

har zakhm bhar deta hai, buri yaadien bhulaa deta hai

to chalo iss fareb-e-khayaal pe aitbaar hum bhi karke dekhen

tere sang chalte chalte khushiyon ka intezaar hum bhi kar ke dekhen


--

Sandeep Raj Sharma

created on Wednesday, 22 September 2010 at 06:30 pm

Baarish (Rains)

Ae baarish, shukriyaa
aansu chhipaane ka
hota kash tark koi
ye gum bhulaane ka

ae baarish shukriyaa
boondon mein doobaane ka

sochta hoon tere jaane ke baad hoga kya
dil ko dilasa dega kaun, kaun aansu ponchega

tu hi iss baar mera saath yun de ja
jab tak dard ko ye dil na de bhula
hole hole hi sahi, dheeme dheeme hi sahi
har shaam mujhko de bhiga

kabhie iss bahane
kabhie uss bahane
mujhpar baras jaa

ae baarish shukriya
aansu chhipane ka
ae baarish shukriyaa
mujhko doobaane ka

-
Sandeep Raj Sharma