Thursday, July 29, 2010

Khwaab hi to tha!

baawre mann ne dekha ek khwaab
aur khwaab mein dekha woh manzar
jahan sacha ho har dil, har insaan
na jhooti baatien, na baaton ka batangar

khwaab hi toh tha, to dekha woh jahaan
jahan maasoom ho pyaar, sachi ho wafa
na dhoka, na dhokebaaz ho kahin
jahan ho har shaqs, kabil-e-jafa

par khwab hi to tha, kaise na tootta
aakhir dil hi to tha , kaise na tootta

ab aankh khuli hai, to nam hai
ab inn ankhon mein khwab bhi to kam hai
phir bhi ye baawra mann meri baat na maanega
aise hi namumkin khwabon ke peeche bhagega

baawra mann dekhne chala ek sapna
baawra mann dekhne chala ek sapna

-
Sandeep Raj Sharma

2 comments:

  1. Hi, came across your About Me incidentally and brought a smile and resonance back to me. So just saying hello and wishing u well.
    PS : Bawra mann from Hazaroon Kwhaishesh Aise is one of my fav songs, so just mentioning all this on the post.
    Best of luck
    Shilpa

    ReplyDelete